sahar-o-sham tujhe yaad kiya karte hain teri hi yaad se dil shad kiya karte hain haq to ye hai ki shab-o-roz teri rahmat se dil-e-barbaad ko aabaad kiya karte hain tujh ko manzur hai aasaish-e-khilqat ya-rab tere bande sitam ijad kiya karte hain ban ke panchhi jo giraftar-e-bala hote hain wo faqat shikwa-e-bedad kiya karte hain aag lag jae mabaada kahin sayyaad ke ghar dar ke aah-e-dil-e-nashad kiya karte hain jo gala phad ke murghan-e-sahar bolte hain apne nalon ko wo barbaad kiya karte hain ishq wale ‘puri’ parwana-sifat jalte hain wo tadapte hain na fariyaad kiya karte hain