juz teri aankhon ke kin aankhon ne lutf ka hath rakha dard ki peshani par pyar ki aankhon se aansu pochhe narmiyan lamha-e-wasl ki manind dil-o-jaan mein utarti hi chali jati hain hijr ki sham hai dhal jaegi wasl ka lamha gurezan hai pighal jaega tere rukhsar ki dahki hui rangin shafaq aur bhi surkh hui tere sulge hue honton ke mahakte shoale aur bhi tez hue kab chhalak jae na jaane teri labrez wafa aankhon se mahr ki mai kab nikal aae tere pyar ka chand tod de halqa-e-zanjir-e-shab-o-roz ki ye silsila-e-karb-o-alam khatm to ho aur ho jae junun aawara tu mere halqa-e-aghosh mein aa