main wo jhuta hun ki apni shaeri mein aansuon ka zikr karta hun magar rota nahin aasman tute zamin kanpe khudai mar mite mujh ko dukh hota hai main wo patthar hun ki jis mein koi chingari nahin wo payambar hun ki jis ke dil mein bedari nahin tum mujhe itni haqarat se na dekho ain-mumkin hai ki tum mera hayula dekh kar ghaur se pahchan kar apni aankhen phod lo aur main khali nigahon se tumhein takta rahun aagahi mujh ko piyari thi magar is ka maal zindagi bhar ka wabaal ab liye phirta hun apne zehn mein sadiyon ka bojh kuchh izafa is mein tum kar do ki shayad koi talkhi aisi baqi rah gai ho jis ko main ne aaj tak chakkha nahin