jyotishi din mahinon ka qissa suno

jyotishi din mahinon ka qissa suno
jab gharon se nikalti hui ladkiyan apne ghar jaengi

apne raste ki ho jaengi
aur tahmina-e-be-khabar har gali ki khabar

har gali ek nae ghar pe ja kar uchat jaegi
ai meri ruh ke baadban

dukh khule paniyon ka safar umr-bhar
jyotshi din mahinon ka qissa suno

jyotishi roz har roz suraj khule paniyon se nikala gaya
rose suraj khule paniyon mein utara gaya

jyotishi din mahinon ki wahshat se aagah main
jyotishi is aziyyat se aagah main

jyotishi mere hone ka qissa suno
jyotishi sanp aankhon ne dekha to main sau gaya

mor panw ne dekha to main sau gaya
jyotishi mere sone ka qissa suno

jyotishi meri aankhon mein tahmina-e-be-khabar ke liye an-ginat khwab hain
khwab wahshat ke aadab hain

subh suraj ka farman hai
aur suraj khule paniyon mein utara gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close