main ne aawaz di aur hisar-e-rifaqat mein us ko bulaya magar wo na aaya gul-e-khwab ki patiyan dhup ki garm rahat mein gum thin mere jism par narm barish ki bunden bhi ghode ka sum thin zamin ek amboh-e-hijran mein us chap ki muntazir thi jo la-ilm phailaw mein muntashir thi parinde subuk reshmin tahniyan apni minqar mein tham kar ud rahe the nasheb-e-junun ki taraf paniyon ki tarah mere sae bahe the kaf-e-chashm par main ne us ke liye shahr-e-girya sajaya magar wo na aaya kisi samt se us ki aahat na aai bahut der tak raat ke sard-khane mein ek aag main ne jalai kahin dur se koi be-ant mahrum aawaz aai judai judai to phir main ne us ke liye dhund hamwar ki rasta-e-nau banaya magar wo na aaya