kabhi kabhi to yun mahsus hua karta hai jaise lafz ke sare rishte be-mani hain lagti hai kanon ko aksar khamoshi aawaz ke sannate se behtar sada kaghaz likhe hue kaghaz se achchha lagta hai khwabida lafzon ko aakhir jagti aankhon ki taswir dikhaen kaise palkon par aawaz sajaen kaise kabhi kabhi yun lagta hai jaise tum meri nazmen ho jin ko padh kar kabhi kabhi mein yun bhi sachcha karta hun lafzon ke rishte be-mani hote hain lafz kahan jazbon ke sani hote hain