kabhi kabhi

kabhi kabhi aisa hota hai
apne hi ghar mein

bhid mein logon ki rah kar bhi
dil an-jaani dahshat se

dhak dhak karta hai
nind aankhon se ud jati hai

kabhi kabhi aisa hota hai
ghane andhere jangal mein

dil koi khauf nahin khata hai
raat basar ho jati hai

bade sukun se
kabhi kabhi aisa hota hai

sare manzar
aankhon mein raushan rahte hain

dil mein lekin
koi manzar jazb nahin hota

kabhi kabhi aisa hota hai
sahra mein

kuchh bhi nahin hota lekin
aankhon ke aage

sab kuchh raushan rahta hai
kabhi kabhi aisa hota hai

kabhi kabhi aisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close