kabhi socha bhi hai tum ne tumhaari zat ke andar us ek ehsas ke andar tumhaari ruh se ho kar tumhaari nabz mein dhadkan mein in aati jati sanson mein kabhi maddham hawaon mein kabhi sunsan raston mein koi jugnu chamakta hai aur us ki raushni mein tum achanak kho se jate ho kabhi khushbu ki surat mein rag-e-jaan mein shah-e-rag mein wo yun tahlil hota hai nazar kuchh bhi nahin aata magar jab kore kaghaz par qalam ko hath mein le kar ghazal kahne ko hote ho to wo manus si khushbu tumhaare gird ek haala banati hai muqaddas daere mein qaid karti hai to wo alfaz ko kaghaz pe moti se chamakte hain isi manus si khushbu se jaane kyun mahakte hain tumhaare zehn aur dil mein sukun sa phail jata hai magar tum kab ye samjhoge moattar kar rahi hai jo tumhaari ruh mein bas kar wo tum mein zam hui hai jo tumhin mein rahna chahti hai