jab dekho dur khalaon mein ek chehra sa ban jata ho jab tanhai ke milte hi wo yaad tumhein aa jata ho jab anjaane mein chupke se ek nam se nisbat ho jae jab us ko sochte rahne se kuchh dil ko rahat ho jae jab raat achanak nind khule us paikar ki hi yaad aae jab apni sanson se tum ko ek shakhs ki khushbu si aae jab an-jaana ehsas liye wo zehn-o-dil par chha jae jab duniya bhar mein us ke siwa koi aur nazar hi na aae tab samjho 'mina' tum ne bhi ab ishq ka daman tham liya ek khwab kabhi jo dekha tha tabir ko apne nam kiya tabir ko apne nam kiya