kachcha rang

sabz zard surkh aur ba-nafsi
chaman ke sare rang pur-kashish hain

magar main dar rahi hun ki koi rang ud ke
mere dupatte ke zholida rangon pe chadh na jae

tamanna-e-dil ke canwas par
mujhe tamasha-e-fan-e-tajrid se dur rakhna

main apna pairagi rang odhe
chaman ko bas dur se tak rahi hun

mujhe tumhaare rangon se kya lena-dena
main kachche rangon aarzi mausamon se dur bhagti hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close