nur ka bosa

mere nadim
main hairan sochti thi yahi

ki ye badalti hui rut
ye sard sard hawa

tumhaara sath na hota to kaisi chalti bhala
nazar tilism-e-tamanna se jagmagati hui

hamare hath the ek dusre ke hathon mein
bahut se wade

mohabbat ke saikdon qisse
suna rahe the hum ek dusre ko chalte mein

kahin kahin pe zamana bhi rah mein hail
hamari khalwat-khana mein sar uthae hue

magar hamein to bas ek dusre se matlab tha
hawa ki narm-rawi bhi to bojh lagti thi

wo subh-e-nur ka bosa teri nigahon se
bahut se khwab the bistar ki silwaton mein chhupe

jinhen batane se ziyaada chhupana pad gaya tha
hum apni zat ke khalwat-kade mein mahw-e-safar

tha subh-o-sham yahi kaam ho nazar pe nazar
phir aisa lamha bhi aaya

ki waqt ke hathon
click kiya jo batan

screen ghaeb thi
jale bujhe se sitaron ke tarah harf ubhre

na ab wo hath na wade na nur ke bose
likha tha itna ki network munqata hua hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close