kandhe par qad se lambi bori latkae ek bachcha kachre ke us dher ki jaanib lapakta hai jahan se nak band kar ke guzarna bhi dushwar lagta hai sham tak ghalazat ke us pahad se wo badbu-dar dabbe botalen aur bosida kaghaz chunega din dhale apni khwari ki sasti mazduri jab paega ghar jate hue wo khushi ka rag gaega magar us ki nili shaffaf aankhon ka siyah khwab taza kachre ka dher koi nahin sochega us ki dudhiya jild ki tah mein utarti zahrili mail koi nahin dhoega wo masum bachcha kya hamein kabhi nazar nahin aaega