ek tahni pe baithe the mitthu miyan aa gaya ek kawwa bhi ud kar wahan aaiye aaiye shauq farmaiye mitha amrud hai aap bhi khaiye bola kawwa ki khamosh ten ten na kar warna main phod dunga abhi tera sar bewaqufon se main baat karta nahin apne darje se niche utarta nahin kaun sa tu uqab aur shahin hai munh lagana tujhe meri tauhin hai bolin kawwe ne jab aisi bad boliyan to ghusse mein bole ye mitthu miyan tu ne kya tir mare hain main bhi sunun teri chaalakiyon par zara sar dhunon bola kawwa ki o rattu tote ye sun meri danish ka har shakhs gata hai gun kar dun raushan abhi tere chaudah tabaq yaad hai bachche bachche ko mera sabaq ek din jab bahut sakht pyasa tha main ye samajh le ki bas adh-mara sa tha main ek matke mein pani ki dekhi jhalak chonch dali to pahunchi na pani talak zehn ne kaam karna shurua kar diya matka kankar se bharna shurua kar diya un ki tadad matke mein jab badh gai sath pani ki upar talak chadh gai main ne pani gata-gat gata-gat piya phir phudakte hue kaen kaen kiya dekh le kis qadar tez tarrar hun kitna chaalak hun kitna hushyar hun bole mitthu miyan mar kar qahqaha be-waqufi ki bas ho gai intiha jaane matke mein pani tha kab se pada phir dhakna bhi nahin tha khula tha ghada gande kankar bhi bharta gaya us mein tu pi gaya aise pani ko phir aakh thu aise pani se lagti hain bimariyan pesh aati hain kitni hi dushwariyan khud ko kahta aql-mand-o-dana hai tu lekin afsos ahmaq ka nana hai tu tu agar gandi chizen na khae piye log palen tujhe tu maze se jiye saf hota to ghar ghar bulate tujhe is tarah mar kar kyun bhagate tujhe kawwa sunte hi ye baat rone laga apne par aansuon se bhigone laga aur kahne laga baat sach hai teri log karte hain nafrat shakl se meri kawwa ro ro ke jab aah bharne laga us pe mitthu ne ye tars kha kar kaha chhod de is takabbur badai ko tu apni aadat bana le safai ki tu ganda pani na pi gandi chizen na kha un mein hota hai dera jarasim ka ye jarasim bimar kar dete hain achchhe khason ko be-kar kar dete hain yun ba-zahir tha kawwa bahut kaiyan us ko samjha ke har baat mitthu miyan ud gae apne par phadphadate hue mitthu bete ke nare lagate hue