kaf se nun mila kun hua aur phir aalam bana ek aalam mein hazaron aalamon ka naqsh tha aag aur pani hawa aur khak ka paiham milap ban gaya naqsh-e-wajud-e-kaenat aur phir silsila-dar-silsila kuchh moajizat raaz-e-rab ramz-e-hayat aur ye sadiyon pe phaile mah-o-sal aaj bhi taswir-e-hairan ban ke kun ko dekhte hain