tum aisi subhon tum aisi shamon mein apne ghar se kabhi na niklo ki jab hawaen supurdagi se nihaal ho kar tumhaare pahlu mein dolti hon tumhaare aanchal se khelti hon tum aisi subhon tum aisi shamon mein apne ghar se kabhi na niklo ki hawaen udas lahje mein tum se puchhen tumhaare aankhon ko kya hua hai tumhaare chehre pe kya likha hai tumhaare uthte hue qadam par ye ladkhadahat si kis liye hai tum aisi subhon tum aisi shamon mein apne ghar se kabhi na niklo ki jab hawaen badalte mausam ki sazishen mein sharik ho kar tumhaare ji mein ghalat-bayani ka zahr gholen suno ai pyari-si sanwli-si sajili ladki yahi hawaen to aate-jate musafiran-e-rah-e-wafa par ghubar-e-tohmat uchhaalti hai mohabbaton par yaqin na ho to dilon mein paiham hazar wahmon ko dalti hai tum aisi subhon tum aisi shamon mein apne ghar se kabhi na niklo kabhi na niklo kabhi na niklo