ye be-nur andhi siyasat ka bazar hai maslahat ki dukan hai shanasa yahan ajnabi hain masarrat ke lamhe bhi be-jaan hain jism-o-jaan ki haqiqat nahin hain riya-kar sochon ke jamid hisaron mein lipti hui sar-zamin kah rahi hai ki ye mahfil-e-tang-daman hai saqi ka eajaz mutrib ki aawaz aur nara-e-sarmadi kuchh nahin hai yahan to bas zauq-e-hasti ka bedari-e-arzu ka asasa sameto unhin be-nawai ke ghaaron mein kho jao ja kar jahan kone kone mein har kunj mein har-qadam par sukut-e-mukammal ka aaseb hai shor-o-ghaugha ka jangal hai aur gulshan-e-nutq be-barg-o-bar-o-samar hai ki is mahbas-e-fikr mein khayalon ki mahshar-khirami andheron ujalon ki takrar-e-paiham nahin hai isi kunj-e-be-gangi mein chhupa lo dil-o-jaan jahan sahar-khez bedar ruhen kabhi nashsha-e-mai se sarshaar thin jo khumar-e-tamanna ganwa kar subuk-narm-khwabon se daman bacha kar kar-gah-e-hunar se nigahen chura kar zamane ke naqsh-e-qadam dekhte dekhte so gai hain ki wo bar-e-hurriyat din-o-dil se subuk-bar si ho gai hain agar jaan-o-dil phir bhi be-dari-e-arzu fitna-sazi-e-haq-bini-o-garm-raftari-e-justaju par musir hun to diwar-e-mahbas ke rauzan ko aankhen bana lo nigahen ufuq par jama lo