to main kya karun

sikandar ne poras se ki thi ladai jo ki thi ladai to main kya karun
jo kauraw ne pandaw se ki hatha-pai jo ki hatha-pai to main kya karun

jo pi yu t put hai to bi yu t but hai zamane ka dastur kitna ulat hai
padhate hain sab mujh ko ulti padhai hai ulti padhai to main kya karun

hai jahil ghasita magar khae halwa ye har roz lute mithai ka jalwa
ye dudh mein pani milata hai bhai na aae malai to main kya karun

ye b-a hai lekin chalae ye thela ye ma hai lekin ye beche karaila
agar tin din se ye bhuka hai bhai jo bhuka hai bhai to main kya karun

ye suraj jo sham-o-sahar ghumta hai ise ghumne do agar ghumta hai
zamin gol agar hai to hone do bhai jo chipti hai bhai to main kya karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close