kahan ja rahe ho siyah raushni ki chaka-chaund dhaara ke duje kinare pe andha kuan ek qadam fasla kahan ji rahe ho khuli aankh ke dil-nashin khwab ki ek taswir mein jis ki tabir azalon se madum hai kahan hans rahe ho pas-e-qahqaha audible range se bhi bahut dur niche karahon ki lahren fana ho rahi hain kahan dekhte ho sitaron ke pichhe nai kahkashaen jahan pe tajazub bhi is par jaisa repulsion bhi jo ki yahan bhogte ho kahan ja rahe ho