badi lambi kahani hai sunoge? sahar ki aankh khulne bhi na pai thi mere tarkash ne lakhon tir barsae shuaon ke kisi ne aaftabana har ek zarre ko chamkaya kisi ne mahtabi chadaren har samt phailain koi jugnu ki surat jhilmilaya inhin bikhre hue tiron ke zer-e-saya main chalta raha har mod pe koi na koi waqia koi na koi hadsa mere ujale ko lipat kar chat kar dimak-zada karta raha lekin safar ki dhun salamat jumbish-e-pa aage badhti hi rahi koh-e-giran piste rahe sagar ki lahren dam-ba-khud hoti rahin main badhte badhte sarhad-e-imroz tak aa pahuncha ye mana dur hai manzil ye mana aabla-pa hun ghubar-e-gardish-e-ayyam mein lipta hua lekin abhi phaila hua hai silsila mere ujalon ka abhi tarkash mein lakhon tir baqi hain abhi meri kahani khatm ko pahunchi nahin hai ye badi lambi kahani hai