is sarae mein musafir ka qayam ek lamha be-yaqini ka jis ko jannat ya jahannam jo bhi kah lo kya kisi pe inhisar har koi apne amal ka zimmedar bhul kar bhi ye na socho ki muqaddar bhi banata hai koi warna jo hai samne chup-chap dekho kya bhala hai kya bura jab talak sahne ki taqat hai saho haal-e-dil apna kisi se mat kaho ab to rasman hi zaban par pursish-e-ahwal hai dam dilasa pyar hamdardi khulus aaise sab alfaz sine ki lughat se ud chuke hain is sarae mein musafir ka qayam maut ke khatke se mar jaane ka nam!