kahani bas itni si thi

kahani to meri kuchh thi hi nahin
ki meri ye zindagi to meri thi hi nahin

ye to bas aate-jate logon ki rahdari thi
ya ek bas stop tha

jahan kuchh der ko log aate the
aur chale jate the

jaise ek hotel tha jahan kuchh der ke liye log thaharte the
aur main in ko apni kahani mein kuchh der kirdar rakhti thi

kahani meri thi hi kya
mera apna kirdar to sab mein bata hua tha

jo dikhai kisi ko na deta tha
main apni zindagi ki kahani mein hi khud

ek kirdar ko janm deti thi
ek kirdar ko marti thi

meri kahani bhi kitni ajib thi
ki is mein asal aur khalis kuchh tha hi nahin

ek ghadi hoi naqli aur banawati zindagi
ke alawa

kahani to bas itni si thi
ki kahani kuchh thi hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close