sun raha hun der se dhimi si dastak ki sada kaun hoga is andheri raat mein hoga koi ajnabi rahi ki dastak to nahin jo kisi pur-haul sae ke lapakte qahqahe ki gunj se bach ke aa nikla hai mere khana-e-tarik tak waqai wahshat-zada hoga agar rahi koi is qadar mohtat si aawaz kyun is qadar dhimi si chap nim ki shakhon ke pichhe uf ye kaunde ki lapak aur udte abr-paron ki garaj tez-rau aandhi ke qadmon ki ye bhaari aahaten tez barish ke hain aasar-e-muhib bhig jaega koi band darwaze ko ab to khol dena chahiye jaane phir ye kaun apni sakht banhon mein jakadta hai mujhe jaane kyun ruk ruk gae mere azaem ke qadam kaun hai is hajla-e-tarik mein mere siwa jaanta hun mashriqi rukh par tipai ke qarib sham ko jalta raha aahista bosida charagh ab wahan tak ja sakunga kis tarah saebanon se pighalti be-karan zulmat ki rau badh gai hai tod kar sare hudud chikh kar kis ko pukarun kis ko main aawaz dun nim ki larzida shakhon mein garajta hai ufuq shor badhta ja raha hai kya karun aur wo dastak ki dhimi si sada ghaaliban ta-hashr ubhregi nahin kya bhayanak raat hai