nok-e-minar pe atki hui qumri se bhala kya pata khak chala aasman hadd-e-nazar hai ki kamin-gah-e-raqib? mein batata hun magar apne sukhan bich mein hai aasman ek kabutar hai ki jis ke khun ki pyas mein saikdon uqab uda karte hain maut badkar sharabi hai padosi mera roz darwaze ke us par jo gir jata hai zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-bu bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaqub mein bhi ilm circus ke madari ke dahan ka shoala zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai aur mein ek hasin khwab ki jis mein gum hai khwab dekhne wala wo kamin-gah ka raqib