bachcho, hum par hansne walo, aao, tumhein samjhaen jis ke liye is haal ko pahunche, us ka nam bataen rup-nagar ki ek rani thi, us se hua lagaw bachcho, us rani ki kahani sun lo aur so jao us par marna, aahen bharna, rona, khudhna, jalna aab-o-hawa par zinda rahna, angaron par chalna hum jangal jangal phirte the us ke liye diwane rishi bane, majnun kahlae, lekin haar na mane barson kya kya chane chabae, kya kya papad bele lahron ko hamraaz banaya, tufanon se khele daftar bhule, bistar bhule, pine lage sarab pal bhar aankh lage, to aaen ulte sidhe khwab nind mein kya kya dekhen, tadpen, roen, uth uth jaen so jaane ki goli khaen, injection lagwaen aakhir wo ek khwab mein aai sun ke hamara haal koyal jaisi baat thi us ki, hirni jaisi chaal kahne lagi, koi ji, tera haal na dekha jae main ne kaha ki rani apni parja ko bahlae kahne lagi ki tu kya lega: sona, chandi, haar main ne kaha ki rani, tere mukhde ki talwar phir dil ke aangan mein utra us ka sara rup us chehre ki shital kirnen, us mukhde ki dhup dhup padi, to khul gai aankhen, khul gaya sara bhed ghash khaya, to daude aae munshi, pandit, wed wo din hai aur aaj ka din hai chhut gaya khana pani chhut gaya khana pani, bachcho, ho gai khatm kahani meri kahani mein lekin ek bhed hai, us ko pao chand ko dur hi dur se dekho chand ke pas na jao na apne ghar hi us ko bulao