raat ke aks-e-takhayyul se mulaqat ho jis ka maqsud kabhi darwaze se aata hai kabhi khidki se aur har bar nae bhes mein dar aata hai us ko ek shakhs samajhna to munasib hi nahin wo tasawwur mein mere aks hai har shakhs ka har insan ka kabhi bhar leta hai ek bholi si mahbuba-e-nadan ka bahrup kabhi ek chaalak jahan-dida o be-bak sitam-gar ban kar dhoka dene ke liye aata hai bahkata hai aur jab waqt guzar jae to chhup jata hai meri aankhon mein magar chhaya hai baadal ban kar ek diwar ka rauzan isi rauzan se nikal kar kirnen meri aankhon se lipatti hain machal uthti hain aarzuen dil-e-gham-dida ke aasuda nihan-khane se aur main sochta hun nur ke is parde mein kaun be-bak hai aur bholi si mahbuba kaun soch ko rok hai diwar ki wo kaise chale kaise ja pahunche kisi khalwat-e-mahjub ke makhmur sanam-khane mein wo sanam-khana jahan baithe hain do but khamosh aur nigahon se har ek baat kahe jate hain zehn ko un ke dhundalke ne banaya hai ek aisa akkas jo faqat apne hi man-mane manazir ko giraftar kare main khada dekhta hun sochta hun jab donon chhod kar dil ke sanam-khane ko ghar jaenge sehn mein talkh haqiqat ko khada paenge ek sochega meri jeb ye duniya ye samaj ek dekhega wahan aur hi tayyari hai mujh ko uljhan hai ye kyun main to nahin hun maujud raat ki khalwat-e-mahjub ke makhmur sanam-khane mein meri aankhon ko nazar aata hai rauzan ka dhuan aur dil kahta hai ye dud-e-dil-e-sokhta hai ek ghanghor sukun ek kadi tanhai mera andokhta hai mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye duniya mit jae mujh ko kuchh fikr nahin aaj ye be-kar samaj apni pabandi se dam ghut ke fasana ban jae meri aankhon mein to markuz hai rauzan ka saman apni hasti ko tabahi se bachane ke liye main isi rauzan-e-be-rang mein ghus jaunga lekin aise to wahi but na kahin ban jaun jo nigahon se har ek baat kahe jata hai chhod kar jis ko sanam-khane ki mahjub faza ghar ke bebak alamnak siyah-khane mein aarzuon pe sitam dekhna hai ghulna hai main to rauzan mein nahin jaunga duniya mit jae aur dam ghut ke fasana ban jae sang-dil khun sukhati hui be-kar samaj main to ek dhyan ki karwat le kar ishq ke tair-e-awara ka bahrup bharunga pal mein aur chala jaunga us jangal mein jis mein tu chhod ke ek qalb-e-fasurda ko akele chal di rasta mujh ko nazar aae na aae phir kya an-ginat pedon ke minaron ko main to chhuta hi chala jaunga aur phir khatm na hogi ye talash justuju rauzan-e-diwar ki marhun nahin ho sakti main hun aazad mujhe fikr nahin hai koi ek ghanghor sukun ek kadi tanhai mera andokhta hai