yahan thik is jagah jahan ek chatan ek gahri khai par jhuki hui hai yahan ek chhitnar darakht tha wo parinde yahan aate the jin ke bare mein logon mein ajib ajib kahaniyan mashhur hain is chatan ke pahlu mein ek aatish-kada hai jis mein har waqt aag raushan rahti hai jis se us ke chaaron or baithe logon ke chehre is qadar raushan ho jate hain ki is chhitnar darakht par baithe parinde khauf-zada ho jate hain lekin ab yahan koi chhitnar darakht nahin aatish-kada sar ho gaya aur us aag se raushan chehre bhi bujh gae ab sirf khai ki taraf jhuki chatan baqi rah gai hai ya wo ajib-o-gharib kahaniyan jo khai aur jhuki chatan ke gird chakkar laga laga kar ab buri tarah ukta chuki hain