ghubar-e-sham ke be-aks manzar mein hawa ki saen saen panchhiyon ko hankti hai dur charwahe ki bansi mein milan-ras ka surila zaiqa hai, raat raste mein kahan se tum mujhe aawaz deti ho! musalsal aahaten meri samaat hi na le jaen bacha rakkhe hue aansu ki binai tapakti hai inhin lafzon ki lau mein raat katti hai jinhen aankhon ne taswir shab-e-wada ki sangini riwayat hai mere imroz ke chulhe mein bhi ab tak wahi indhan bhadakta hai agar aawaz-e-riwayat hun agar aawaz deti ho to aao subh ke sahil ko chalte hain lahu mein kasmasate qahqahe honton tak aane do mujhe bhi muskurane do