main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye aaj wo jaan ka aazar bani baithi hai meri aaankhon ne jise phul se nazuk samjha ab wo chalti hui talwar bani baithi hai ham-safar ban ke jise naz tha hamrahi par rahzanon ki wo taraf-dar bani baithi hai kisi afsane ka kirdar bani baithi hai us ki masumiyat-e-dil pe bharosa tha mujhe azm-e-sita ki qasam ismat-e-maryam ki qasam yaad hain us ke wo hanste hue aansu mujh ko khanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam us ne jo kuchh bhi kaha main ne wahi man liya hukm-e-hawwa ki qasam jazba-e-adam ki qasam pak thi ruh meri chashma-e-zamzam ki qasam main ne chaha tha use dil mein chhupa lun aise jism mein jaise lahu sip mein jaise moti umr bhar main na jhapakta kabhi apni aanhken mere zanun pe wo sar rakh ke hamesha soti sham-e-yak-shab to samajhta hai use ek jahan kash ho jati wo mere liye jiwan-joti dar-ba-dar us ki tamazat na pareshan hoti main use le ke bahut dur nikal jaun magar wo meri rah mein diwar bani baithi hai zindagi bhar ki parastish use manzur nahin wo to lamhon ki parastar bani baithi hai main ne chaha tha use ruh ki rahat ke liye wo magar jaan ka aazar bani baithi hai kisi afsane ka kirdar bani baithi hai