kahkashan

hazrat-e-insan ki khatir hi bani hai kahkashan
bachcho lakhon sal pahle se saji hai kahkashan

kahkashaen kitni hain likhne se aajiz hai qalam
kahkashaon ki kabhi ginti nahin kar sakte hum

kahkashaon mein nazar aae sitaron ka hujum
surajon ki kahkashaon mein machi rahti hai dhum

kahkashaen do badi hain kar lo bachcho in ko yaad
dudhiya patti badi hai andromeda ke baad

dudhiya patti mein ek million sitare paoge
andromeda mein bhi lakhon nazare paoge

kahkashan ke fasle lambe bahut hain jaan lo
napte hain in ko nuri sal mein bachcho suno

phailti hain kahkashaen rafta rafta har taraf
hai nai science mein 'hafiz' inhen hasil sharaf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close