mere khamosh khuda sath mere bol zara mere andar to utar meri tamanna mein dhadak main jo aankhon mein thakan rakh ke safar karti hun meri raaton ko mere khwab na das jaen kahin mere andar wo khayalat na bas jaen kahin jin ko mamnua zaminon ki hikayat kaha jata hai tirgi par jise likkhi hui wo raat kaha jata hai jis ki qismat mein kabhi koi sitara na diya hota hai jis ke mathe pe sawere ka koi bosa kabhi sabt nahin ho pata wo jo mahrum-e-tamanna hai dua ka dar hai mere khamosh khuda! waqt be-waqt meri aankhon mein tapte pani ki ye bhadkan kyun hai mere mathe pe tamanna ka koi rang nahin phir mere hath ki rekhaon mein uljhi hui duniya ki kahani kyun hai wo jo atraf mere mujh ko nazar aati nahin mere dil mein wo udasi ki rawani kyun hai kaun hai wo jo mujhe kuk ka an-dekha bulawa de kar huk ki ot mein chhup jata hai jo mujhe mere tasawwur ke kisi aks mein raushan kar ke aaina-khane mein phir aag laga jata hai jis ki aankhon mein mere khwab ke sare manzar apne hone ki gawahi mein jiye jate hain wo gawahi ki sahifon mein jise main ne tilawat to kiya hai lekin wo gawahi mere hone ki gawahi to nahin main kahan hun mera malum kahan hai kis ne mere andar mere maujud ko nabud kiya kaun hai jo meri rag rag mein jiye jata hai meri duniya se mujhe mulk-badar rakhta hai