man bap aur ustad sab hain khuda ki rahmat hai rok-tok un ki haq mein tumhaare neamat kadwi nasihaton mein un ki bhara hai amrit chaho agar badai to kahna badon ka mano man bap ka azizo mana na jis ne kahna dushwar hai jahan mein izzat se us ka rahna dar hai pade na sadma zillat ka us ka sahna chaho agar badai to kahna badon ka mano tum ko khabar nahin kuchh apne bhale-bure ki jitni hai umr chhoti utni hai aql chhoti hai behtari usi mein hai jo badon ki marzi chaho agar badai to kahna badon ka mano