tere dam se phir watan walon mein paida ho hayat panja-e-aghyar se ho hind ko hasil najat kaam aa jae watan ki rah mein tera shabab ghairaten zindaniyon ki phir ulat dalen naqab tu badal dale nizam-e-hind ke lail-o-nahaar ye ghulam aabaad ho aazad mulkon mein shumar aastin-e-hind ho tere lahu se lala-fam padshahon ka laqab pane lagen hindi ghulam haddiyan pis kar banen ghaza urus-e-hind ka husn phir ho jae kuchh taza urus-e-hind ka tere honton se ba-waqt-e-marg ye nikle sada naujawanan-e-watan aage badho aage zara