tumhein malum hai jab bhi purane yar galiyon ki yunhi be-sud baaton mein kai ghanton ki be-masraf nashist-e-raegan ko yaad karte hain to kitna lutf aata hai purane ghar mein guzre pal aur un mein sab kahi aur an-kahi baaton ko jab dohraya jata hai to kitna lutf aata hai tumhein malum hai jab is tarah ke an-ginat lamhe jinhen hum yaad karte hain jinhen hum dhundte hain zindagi ki har udasi mein muqayyad hain ghadi ke ain markaz mein rawan in suiyon ki be-sila be-kar harakat mein tumhein malum hai jab bhi mujhe in ki zarurat thi to main ne waqt se in aakhiri ayyam mein itni guzarish ki mujhe de do wo sab lamhe ki ab in ki zarurat hai to wo mujh se yahi kahta kai lamhe kalaiyon par bandhi ghadiyon se bahar hain unhen main kaise wapas dun unhen main kaise lauta dun