dekhte dekhte sab dhund mein tahlil hue dasht kohsar falak aab nabaatat sabhi buildingen chhoti-badi dur talak phaile ghar ikka-dukka jo kahin log nazar aate the wo bhi mashghul the be-ruh si sar-garmi mein har koi nauha-kunan tha ki purani sadiyan budhi tahzib ko dafna ke abhi lauti hain aur ab dhundhti hain an-dekhe khandar ko shayad kaisa gambhir safar khatm hua aakhir-e-kar kaisi uftad padi ahl-e-zamin aaj ke din hum ki aaghaz the anjam ki tamsil hue dekhte dekhte hum dhund mein tahlil hue