mile hum jo ab ke kai sal baad tumhein bhi malamat mujhe bhi malal tumhaare bhi chehre ke phike the rang mera chehra jaise bhatakta malang kai raaz chup ki sadaon mein the hamari sulagti wafaon mein the ajab waqt o manzar ajab mah-o-sal na koi jawab aur na koi sawal badi koshishen ki ki ek ho saken zara khul ke hans len zara ro saken guzishta ke kuchh to nishan dho saken magar ab ye mumkin kahan tha 'nadim' na pahle se din the na pahle si raat na pahle se lahje na pahle si baat na pahle sa hum pe mohabbat ka jal na pahle sa jiwan na hi mah-o-sal