kisi bhi aankh ki putli pe chupke se utarti hai nishan sa chhod jati hai yaqin ke rang dhundla kar guman sa chhod jati hai mohabbat ka koi kulliya koi qanun logon ki samajh mein aa nahin sakta koi bhi us ke gahre bhed hargiz pa nahin sakta chamakti dhup ki in chilchilati zard taron se bana hai us ko fitrat ne ye sab rangon se bartar hai magar har rang us mein ghul gaya goya chhuo to hath ki poren gulabi hon samaat mein utarti dhimi dhimi chap jaisi hai kitab-e-zist ke bhule hue se bab jaisi hai mohabbat khwab jaisi hai