ungliyon ne chhu diya barbat ki dhun bahne lagi abr-e-mausiqi se wo chhan chhan ke ye kahne lagi tham lo dil ko jahan madhosh ho jaane ko hai god mein meri abhi khamosh ho jaane ko hai naghma ki pahli kiran mein kho gaya tar-e-rabab nind si aane lagi sone laga mera shabab yak-ba-yak dhaara sa ek bahne laga be-ikhtiyar bah chala manind-e-dariya chha gaya misl-e-bahaar ragni ki dhaar ne phir chhu liya dil ko mere sail-e-mausiqi ne pani kar diya dil ko mere kaif-e-mausiqi ne pani kar diya dil ko mere kho gain ublin bahin bah kar thamin tham kar bahin ek duniya murtaish thi mauja-e-naghmat par ek ajab khwabidgi tari thi kaenat par daur-e-mausiqi mein din tha aur na thi takhsis-e-shab ek waqt-e-jawedan ek arsa-e-mauj-e-tarab