majbur nahin fitrat-e-azad tumhaari phir kyon nahin karte ho ghulami ka jigar chaak qudrat ne tumhein ashraf-e-makhluq banaya kyon khak hai ye pasti-e-afkar se namnak jo qaum ho pasti ke khayalat pe mail us qaum ko hasil nahin phir rifat-e-aflak kyon gardish-e-ayyam ki karte ho shikayat kyon wusat-e-afaq mein hote nahin bebak insan bhi aazad hai fitrat bhi hai aazad kyon rasm-e-ghulami se faza sari hai napak 'sahba' tujhe us qaum ka gham hai jise apni haalat ke taghayyur ka na ehsas na idrak