kaise tahalta hai chand aasman pe jaise zabt ki pahli manzil aawaz ke alawa bhi insan hai aankhon ko chhu lene ki qimat pe udas mat ho qabr ki sharm abhi baqi hai hansi hamari maut ki shahadat hai lahad mein paida hone wale bachche hamari man aankh hai qabr to mitti ka makr hai phir parinde suraj se pahle kisi ka zikr karte hain aawaz ke alawa bhi insan hai tute ho zara aur lahu angar karo ki main ek be-libas aurat hun aur jitni chahun aankhen rakhti hun main ne aawaz ko tarasha hai hai koi mera mujassama banane wala apni qismat pe udas mat ho maut ki sharm abhi baqi hai mujhe chadar dene wale tujhe haya tak dukh lag jaen mujhe lafz dene wale kash aurat bhi janaze ko kandha de sakti har qadam zanjir malum ho raha hai aur mera dil tah kar ke rakh diya gaya hai shor mujhe lahuluhan kar raha hai main apni qaid kat rahi hun aur is qaid mein kabhi hath kat kar phenk deti hun kabhi aawaz kat kat kar phenk rahi hun mera dil daldal mein rahne wala kida hai aur main qabr se dhutkari hui lash sadandi hi sadand se meri aankhon ka zaiqa bad-ruh ho raha hai aur main insan ki pahli aur aakhiri ghalati par dum hilae bhaunkti ja rahi hun main jab insan thi to chor ki aas tak na thi main aankhon mein salib aur dil mein apni lash liye phirti hun sachchaiyon ke zahr se mari hun lekin duniya gorkan ko dhundhne gai hui hai wo mujhe aabaad karta hai aur aabaad kahta hai main hari-bhari pyas se zarkhez ho jati hun aur phulon ko mitti mein dabane lagti hun dard mere azhdahe ka nam hai aur sanp ki bhuk mera ghar hai