manao jashn-e-mohabbat ki khun ki bu na rahi baras ke khul gae barud ke siyah baadal bujhi bujhi si hai jangon ki aakhiri bijli mahak rahi hai gulabon se tashqand ki sham jagao gesu-e-jaanan ki ambarin raaten jalao saad-e-simin ki sham-e-kafuri tawil boson ke gul-rang jam chhalkao ye surkh jam hai khuban-e-tashqand ke nam ye sabz jam hai lahore ke hasinon ka safed jam hai dilli ke dilbaron ke liye ghula hai jis mein mohabbat ke aaftab ka rang khuli hui hai ufuq par shafaq tabassum ki nasim-e-shauq chali mehrban takallum ki labon ki shoala-fishani hai shabnam-afshani isi mein subh-e-tamanna naha ke nikhregi kisi ki zulf na ab sham-e-gham mein bikhregi jawan khauf ki wadi se ab na guzrenge jiyale maut ke sahil pe ab na utrenge bhari na jaegi ab khak-o-khun se mang kabhi milegi man ko na marg-e-pisar ki khush-khabari koi na dega yatimon ko ab mubarakbaad khilenge phul bahut sarhad-e-tamanna par khabar na hogi ye nargis hai kis ki aaankhon ki ye gul hai kis ki jabin kis ka lab hai ye lala ye shakh kis ke jawan bazuon ki angdai bas itna hoga ye dharti hai shahsawaron ki jahan-e-husn ke gumnam tajdaron ki ye sarzamin hai mohabbat ke khwastgaron ki jo gul pe marte the shabnam se pyar karte the khuda kare ki ye shabnam yun hi barasti rahe zamin hamesha lahu ke liye tarasti rahe