main to hun shaer ki ruh shaer ki khasiyyat ek khushbu ek tilism aur mera beta ki hai shaer ka jism shairon ki khaslaton ka aaina kaj-rawi ka ishtihaar hai samete apne andar aib ki har ek qism na-samajh aawara-o-bekar shaida-e-qimar aashnaon ka musahib kam-ayar harza-go baada-gusar kash main hota sharabi aur kababi aur wo nek-o-shiar ba-safa be-aib sa meri tarah log phir mujh ko samajhte shaer-e-rangin-khayal-o-ba-kamal aur mera beta bhi hota khush-khisal dil na hota pur-malal