kal jo guzar gaya ek khwab tha khwab jo tut gaya aaine ki tarah aur tute aaine ki kirchiyan sametna hathon ko lahuluhan kar dega kal aane wala abr ka ek para hai jo tumhaari zaminon par barse baghair bhi guzar sakta hai wo tumhaari mauhum ummidon ka saya hai aur saya kab kis ka ho paya hai tum sae ko pakadne ki koshish mat karo ki mubham ummidon ki na-pukhta shakhen khushi se phul nahin khila saktin aaj aaj tumhaara apna hai tumhaari mutthi ke sikke ki tarah aaj ke paudon par khilne wale phulon ko chun lo is se pahle ki wo murjha jaen