agar tere meade mein hai kuchh girani to lemu ka ras pi le adrak ka pani agar dant ke dard se tu hai bekal to sarson ka tel aur sendha namak mal thakan se agar tere aaza hain dhile to thoda sa tu gunguna dudh pi le gale mein kharabi hai nazle ke mare to namkin pani ke kar le gharare agar khun hai kam aur balgham ziyaada to gajar bhi kha aur shaljam ziyaada jigar hi ke dam se hai insan jita jigar ka maraz hai to kha le papita agar zehn kamzor rahta hai aksar to kha shahd ke sath baadam ghis kar agar tujh ko ehsas hai zoaf-e-dil ka to har roz le aanwle ka murabba