kal kya hoga aankh khuli to kal kya hoga khwab ko wapas nind mein rakh kar nind ko chhod ke bistar main jab bistar ko tum chhodoge to duniya hogi subh ki duniya kan azan se bharne wali pir dharoge dharti par to arsh ko sar pe dharne wali sar se arsh dhalakte lamhe ghar aae to darwaze par duniya hogi raat ki duniya aankh mein nind aur nind ko khwab se bhar sakti hai is mamul se hat kar duniya aur amal kya kar sakti hai hairat hi ukta jae to koi muamma hal kya hoga khwab mein ab ke aankh khuli to ghaur se takna kal jab tum ne aankh na kholi kal kya hoga