waqt-e-sahar, khamosh dhundlaka nach raha hai sehn-e-jahan mein tabinda, pur-nur sitare, jagmag jagmag karte karte haar chuke hain apni himmat, dub chuke hain bahr-e-falak mein tariki ke tufanon mein apni kashti khete khete lekin ek ba-himmat tara ab bhi aankhen khol raha hai ab bhi jahan ko dekh raha hai apni mastana nazron se jaise kisi talab mein lachke koi shagufta phul kanwal ka jaise bele ki shakhon mein dur se ek shagufa chamke waqt-e-sahr, khamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai jaise koi bosida kashti tufanon mein dol rahi ho koi diya raushan ho jaise qabristan mein taq-e-lahad par jis ki lau anjam ke dar se ghatti ho aur tharraati ho waqt-e-sahar khamosh dhundlaka ek sitara kanp raha hai rukh par jis ke khel raha hai ab bhi tabassum halka halka wo aaya ek nur ka dhaara jalwon ki bunden barsata jagmag jagmag karta karta dub gaya masum sitara