magar wo sab kuchh bhula chuki hai ki jis ke hamrah bita bachpan ki jis ke hamrah thi jawani umangen parwan chadh rahi thin wo be-khabar roz-o-shab ki yaaden kabhi kabhi chhoti moti baaton pe ruth jaana na baat karna na sath rahna jo main manaun to wo na mane wo pyar kya tha khuda hi jaane magar wo sab kuchh bhula chuki hai ki jis ke hamrah bita bachpan ki jis ke hamrah thi jawani jo hosh aaya to us ne ek sath marne-jine ki khain qasmen magar wo sab kuchh bhula chuki hai ki jis ki zulfon mein zindagi ki tamam qadren ulajh gai thin ki jis ke mathe ki surkh bindi mera nasiba jaga rahi thi ki jis ki nazron se main ne yaksaniyat ki mai pi ki jis ke nazuk labon pe mere liye tabassum ki raushni thi ki jis ki sanson mein mere sangit ki sada thi ki jis ke sine ki dhadkanon mein mere liye ek zalzala tha ki jis ki guftar-e-narm-o-nazuk ne zahr-e-shirin pilae mujh ko ki jis ke zanu pe mera sar tha magar wo sab kuchh bhula chuki hai ki jis ke hamrah bita bachpan ki jis ke hamrah thi jawani ki jis ne ek rah par hi gyarah baras guzare the sath mere wo rah jis par mohabbaten thin masarraten thin musibaten thin magar wo zalim ki jis ne apni khushi ke aage na khud ko samjha na mujh ko jaana tilism-e-husn-o-yaqin tuta to wo nahin thi jo ham-safar thi main apni manzil mein apne raste pe ab akela hi ja raha hun