tarkol sa siyah aasman apni pathrai aankhon aur mom jaisi putliyon se girya-e-shab karta raha wah kya jharna tha kya aabshaar tha kya jal-tarang tha ki aadam ne zamin par sajda-e-shukr ada kiya aur apne kafan tak ko be-dagh barish ki tarah safed-o-shaffaf rakkha aaj barish kali ho gai to kya main apne kafan ke rang ko kala kar lun nahin hargiz nahin is se behtar hai ki khud apne lahu mein naha kar be-gor-o-kafan hi sahi shahid-o-surkh-ru ho jaun