kalima-e-tayyiba ka pahla lafz la

la ki manzil manzil-e-dushwar hai pur-khar hai
kufr se daman chhudana bhi bada aazar hai

tujh se mumkin ho to pahle la ki manzil se guzar
pahle ghairullah se daman chhuda o be-khabar

us ki wahdat us ki yaktai ka kalima ba'd mein
pahle masnui khudaon se magar inkar kar

kufr ko thokar lagata hai jo la kahta hai tu
la tu kahta hai zaban se ruh karti hai wuzu

dil se sare khauf lalach ko mita deta hai la
kufr ke aiwan ki chulen hila deta hai la

la wo thokar hai ki jis se gir pade lat-o-manat
la had-e-iman hai la raushni la hai hayat

e'tiraf-e-jahl hai la e'tiraf-e-gumrahi
la se pahle bas andhera la subut-e-agahi

khalq ka khaliq se rabt-o-silsila hai harf-e-la
khair-o-shar ke marke ki ibtida hai harf-e-la


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close