tanhai

chha rahi hai muhib khamoshi
be-karan si ajib khamoshi

waqf-e-hirman-o-yas baithi hun
aah kitni udas baithi hun

dil mein kuchh naqsh jagmagate hain
jis tarah khwab jhilmilate hain

wo sitam-kariyan yaganon ki
sard-mehri wo mehrbanon ki

kadwi kadwi buri buri baaten
zahr mein wo bujhi bujhi baaten

chand dam todte hue naghme
chand sae se aarzuon ke

zist ki kaenat hai sari
zindagi ek raat hai sari

raat aur mausam-e-khizan ki raat
ranj-o-alam-e-be-karan ki raat

qabr se bhi ziyaada tira-o-tar
har-nafas ek aarzu ka mazar

tirgi mein jahan khoya sa
dard ek git mein samoya sa

bujh gai shama aarzuon ki
dil mein ab dagh bhi nahin koi

aah dushwariyan gharibi ki
hae khuddariyan gharibi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close