kalkatta

har sailani ye kahta hai
shahr anokha kalkatta hai

bhaarat ka har sube wala
is ke daman mein basta hai

is ke futpathon par har dam
logon ka rela chalta hai

lambi chaudi sab sadkon par
caron ka dariya bahta hai

nai tramon ka ab chalna
aankhon ko achchha lagta hai

do do insan hain rikshe par
bar ye ek insan sahta hai

ek hai metro railway jis se
waqt safar ka bachta hai

durga puja mein kalkatta
jagmag jagmag kar uthta hai

rosogula mishti doi
shan nirali hi rakhta hai

machhli se bangali bhai
mehmanon ko khush karta hai

josh bhara ye shahr hamesha
ek parcham thame rahta hai

dekh 'faragh' apne sheron mein
ab kalkatta bhi dikhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close